Kanz e Aza

Jab kabhi geerat -e- insaan ka sawaal aata hai

A noha for Shehzadi Zainab (s.a), recited by Anjumane Al Abbas(Hyd Ind). Lyrics in Roman Urdu.

1. jab kabhi geerat -e- insaan ka sawaal aata hai

binte zehra tere parde ka khayal aata hai


2.darmiya lashoun ke tanha nazar aate hain hussain

jab ke ashoor ke suraj pe zawal aata hain


3. mouth kis sounch main hain lashaye akber pa khadi

kya payamber ki jawani ka khayal aata hain


4. badke abbas kaleje se lagalete hain

jab sakina ki yateemi ka khayaal aata hain


5. khoon bhara kurta utha leti hain badkar zainab

jab ke darbar main luta huwa maal aata hain