kalaame haq ki tilawat hai saani e zehra
ke tarjumane risalat hai saani e zehra
agar hai panjatan e paak aaya e tatheer
to ye hai hurmate quran ki bolti tafseer
nabi ke seena sipar hai jo shaahe khybergeer
to inke naam se qaayam hai maqsade shabbir
hussainiat ki niyabat hai saani e zehra
kalaame haq ki…
barehna sar bhi rahi haq ki aabru bankar
ke ab hai chehra e islam par wazu bankar
gayi jo sajde mein to haq ki justuju bankar
hai aaj deen ki rag rag mein ab lahoo bankar
azan hussain iqamat hai saani e zehra
kalaame haq ki…
jo pahunchi karbobala qaid-e-shaam se chutkar
pukara ganje shaheedan mein sab ko ro ro kar
kahan ho mere alamdaar aur ali akbar
kahan ho qasime muztar kahan ali asghar
sarapa sog hai hasrat hai saani e zehra
kalaame haq ki…
tumhare baad qayamat guzar gayi bhaiya
hujoome aam mein mai nange sar gayi bhaiya
tumahre sar ki qasam dar badar gayi bhaiya
sakina qaid mein ro ro ke mar gayi bhaiya
meinan e ranj o musibat hai saani e zehra
kalaame haq ki…
watan ko jaati hoo bhaiya hamare saath chalo
hai intezar mein sughra hamare saath chalo
udaas hoga madina hamare saath chalo
lagega dil na hamara hamare saath chalo
tareek e ashk e mohabbat hai saani e zehra
kalaame haq ki…
zaban pe zikr bahattar hai aur zainab hai
ke shab ko khaak ka bistar hai aur zainab hai
hamesha matame sarwar hai aur zainab hai
ek aansuon ka samandar hai aur zainab hai
ghame hussain ki fitrat hai saani e zehra
kalaame haq ki…
khuloose dil se yehi kijiye dua mehshar
ke ho har ek ko deedar e karbala mehshar
bulaye rauze pe jo binte sayyeda mehshar
chadaun apne salaamon ki ek rida mehshar
mere qalam ki ibadat hai saani e zehra
kalaame haq ki…