roke farmate the yeh sibte payamber abbas
ab na qasim hain na akber hain asghar abbas
koi baqi na raha humdam-o- yawar abbas
dasht-e- ghurbat main luta mera bhara ghar abbas
jane zehra-o-ali janne baradar abbas
1. bekasi sarf-e-buka chashme aza nouha kuna
hasrat-o-yaas kare gham main teri aaho fugan
khoon-e-dil khoon-e-jigar hain meri ankhon se rawan
al madad aye pisar-e-fatahe khaibar abbas
2. khake sine pe sina margaya akber mera
hogaya dasht-o-bayaba ki tarha ghar mera
juz alam koi nahi monis-o-yawar mera
meri tanhayi pe khush hain yeh sitamgar abbas
3. chashme tanhayi main pinha hain qayamat ka sama
asr ka lamha-e-akhir tabar-o-tegh-o-sina
kund khanjar yeh gala maa meri masruf-e-buka
koun dekhega qayamat ka ye manzar abbas
4.mera abbas mera khuvat-e-bazoo mera chain
jiske marne se adoo khush hain haram karte hai bain
har ghadi saniye zehra se yeh kehte the hussain
tha behan ek mukamal mera lashkar abbas
5. hai mere pesh-e-nazar shaam-e- ghariba ka sama
be rida zainab-o-kulsum woh khaimo ka dhuwa aur beemar ko pehnayege yeh tokh-e-gara
qatl ke baad mere hoga yeh mehshar abbas
6. shai yeh kehte the farid ab mera jarar nahi
dil giraftar-e-alam hai mera ghamqaar nahi
shaan thi jis se alam ki wo alamdar nahi
kise fariyad kare sibte payambar abbas
jane zehra-o-ali janne baradar abbas