kis tehluke mein ya rab kubra dulhan bani hai
karbobala mein shadi qasim ki ho rahi hai
1. dulha dulhan hai pyase pyase hai sab barati
is tarha ki jahan mein shadi kahan rachi hai
karbobala mein shadi . . . . .
2. gham ke libas mein hai dekho to sab barati
kaisi huwi ye shadi kya rasm yeh nayee hai
karbobala mein shadi . . . . .
3. marne ki arzoo mein maidan ko ja rahe hai
shukre khuda hai lab par chehre pe taazgi hai
karbobala mein shadi . . . . .
4. kya samna karega ibne hasan ka lashkar
tera baras ke sin mein yeh hu -ba- hu ali hai
karbobala mein shadi . . . . .
5. lashkar ke darmiyan hai bewa ka laal ya rab
tan par zira nahi hain zakhmi hai kamsini hai
karbobala mein shadi . . . . .
6. sumke nishan badan par gul ki tarha saje hain
surqi hain khoon ki ya mehendi lagi huwi hai
karbobala mein shadi . . . . .
7. maqsad ko zinda rakha pamal hoke dulha
qasim ne karbala mein istarha jaan di hain
karbobala mein shadi . . . . .
8. hum sin nahi hain koi dulhan kahe to kisse
khaime mein laash ran se dulha ki aarahi hai
karbobala mein shadi . . . . .
9. sugra se jab milungi sab haal -e- dil kahungi
khamosh kyun hai kubra shayad yeh sonchti hai
karbobala mein shadi . . . . .
10. jab ho kisi ki shadi kehta hai dil raza ka
naushahe karbala ki masnad bichi huwi hai
karbobala mein shadi . . . . .