karbala mein roze ashoora fiza tehri rahi
wo tashnalab ka maujiza tehri rahi
uske daaman mein na jane saaniha kya hogaya
aalame sakta mein nehre alqama tehri rahi
karbala mein roze…
aagaye mashk-o-alam to qaimagah e shaah mein
door saahil par bapa koi fiza tehri rahi
karbala mein roze…
maa phuphi to aagayi ibne hassan ki laash par
fatema sughra bapa bande haya tehri rahi
karbala mein roze…
kya zamane mein koi is tarha ki bewa bhi hai
haath mein kangan nahi tehre hina tehri rahi
karbala mein roze…
zaalimo ne sar se zainab ke rida to cheen li
haan magar tatheer ki munsif rida tehri rahi
karbala mein roze…
aagayi qaime mein wapas sheh ke kehne se rabab
dayr tak qaime ke dar par maa udaas tehri rahi
karbala mein roze…
taaziye uthe alam uthe utha farshe aza
jis jagah majlis bapa thi fatema tehri rahi
karbala mein roze…