mashk o alam udas hai saqqa udas hai
binte shahe umam ko kayi din ki pyas hai
mashk o alam udas hai…
keha hai kaun mashk alam se hai mubtasir
lipti hui chacha se bhatiji ki aas hai
mashk o alam udas hai…
pani mila to kehti thi amma bulaiye
mujhse kahin siwa ali asghar ki pyas hai
mashk o alam udas hai…
ye kaun hai faraat ke saahil pa tashnalab
darya tadap utha hai samandar udas hai
mashk o alam udas hai…
ay teere hurmala kahin raste mein teher ja
maadar ke dil ka tujhko agar kuch bhi paas hai
mashk o alam udas hai…
ay zuljanah door isay le na jaaiyo
tera sawaar fatema ki kul ataas hai
mashk o alam udas hai…
kal tak yahan sukoon tha qaime thay log thay
ab aag hai dhuaan hai lahoo hai hiraas hai
mashk o alam udas hai…