jari diler e alamdar bawafa abbas
hussainiat ka sahara payambari ka bharam
jo cha gaya dare sehra misaale abre karam
huwe hai haath qalam phir bhi jhuk saka na alam
jahan e sabr ko jeena sikha gaya abbas
jari diler-e-alamdar...
jo zore baazu e shabbir karbala mein raha
wo pehradaare haram tajdaare ehle wafa
faraath jis ki shahadat par aab aab huwa
khamosh rehke jahan ko rula gaya abbas
jari diler-e-alamdar...
abhi to saahile darya pe hai wohi pehre
abhi to asghare baysheer bhi nahi sooye
abhi to jaag rahe hai qaya mein bache
na jaane ki liye maqtal mein sogaya abbas
jari diler-e-alamdar...
rasan pehan ke ye kehti thi roke binte ali
tumhare baad koi dil mein aas bhi na rahi
jale qayaam bhi jaagere fathima bhi luti
ghazab ke chin gayi sar se meri rida abbas
jari diler-e-alamdar...
karoon shuja'ate abbas kis tarha se bayan
na mere paas wo dil hai na mere paas zuban
yahi bahut hai ke maqtal mein hoke nauha bajan
har ek shaheed ne girte huwe kaha abbas
jari diler-e-alamdar...
likha hai ye lufe tareeq par baqad se jali
wafa ki rasm to abbas e naujawan se chali
zamane bhar ka sahara hussain ibne ali
hussain ibne ali ka hai aasra abbas
jari diler-e-alamdar...
karenge hashr mein nasir hussain ka matam
jari ke saath shahe mashraqayn ka matam
alam ke saath sakina ke bain ka matam
labe faraat pe pyasa jo sogaya abbas
jari diler-e-alamdar...