kya aalame gurbat hai
jari ke khaak par baazu pade hai
kamar thaame huwe sarwar khade hai
sakina se thay kuch manoos itne
lage hai teer mashkeeze pa jitne
wo sab abbas ke dil mein gade hai
jari ke khaak par...
na poocho haal ay akbar hamara
badan zakhmi hai be-haathon ka saara
chacha kitne masayab se lade hai
jari ke khaak par...
dilaasa pyaas ke maaron ko dene
chalo abbas hum aaye hai lene
tumhare muntazir bacche bade hai
jari ke khaak par...
na le jaana meri mayyat yahan se
waisyat sunke ammu ki zaban se
ali akbar tadap kar ro pade hai
jari ke khaak par...
mai ab pani nahi aansu piyungi
chacha aajaiye kaise jiyungi
mera nanha sa dil hai gham bade hai
jari ke khaak par...
rida ab bhai ke shaano pa daalo
na tadpo ay behen khud ko sambhalo
tumhare imtehan is se kade hai
jari ke khaak par...
ghulami ka tha waada apni maa se
kahe abbas bhai kis zaban se
magar is baat par sarwar aday hai
jari ke khaak par...
ruke kab aamir o akhtar ye aansu
bohat yaad aaye ek saqqe ke baazu
masayab jab bhi ghazi ke padhe hai
jari ke khaak par...