JATI HAI TERI BAHEN ALVIDA SHAH-E-ZAMAN
LO SALAM-E-AAKHRI ZEHRA KI JAA’N TASHNA DAHAN
Leke jati hoon nigahon mein mai manzar karb ke
Dasht mein jalti zamee’n par bekafan laashe pade
Aik rassi mein bandhe barah aseero ke gale
Chhodkar tanha tujhe jati hai Zainab pur-mehan
Yaad tadpayegi sabki lamha lamha umr bhar
Chhodkar jati hai maaye’n apne sab noor-e-nazar
Kaun de unko dilasa bibiyaa hai nohagar
Hoon main sharminda tujhee de nahi payi kafan
Kaise nana ko sunaungi bhala ye daastaa’n
Lut gaya karbobala ke dasht mein sab kaarwaa’n
Thaa mehaar oonton ki thaame aage aage naatawaa’n
Kya kahun tera huwa paamaal ghodo se badan
Jaaungi maajaye jis dum main watan ko lautkar
Khulke amma se sunaaungi mai roodad-e-safar
The tamashayi sabhi saidaniya thi nange sar
Bekajawa oont the aur baazuwon mein thi rasaan
Yaad aati hai to jalta hai kaleja baar baar
Sar jhukaye ro rahi hai Umm-e-Farwa sogwaar
Chain ab aata nahi sab bibiyaa’n hain beqarar
Saath lekar jaa rahi hai chand lamhon ki dulhan