hussain khusta e tayghe jafa khuda hafiz
tamaam hoti hai fasle aza khuda hafiz
dasegi hum ko hamare gharon ki veerani
sajega kal se na ye taaziya khuda hafiz
hussain khusta e tayghe...
sunenge marsiye ab kis se sab azakhane
bhala ye kaise kahe fatema khuda hafiz
hussain khusta e tayghe...
wida hote hai abbas badh raha hai alam
hussainiyo kaho ay bawafa khuda hafiz
hussain khusta e tayghe...
khamosh baithe hai maaon ki godh mein bacche
kahe wo jhoole se kaise bhala khuda hafiz
hussain khusta e tayghe...
jahan bahaar chadhati thi phool sehre ke
hai aansuon se bhari wo qaba khuda hafiz
hussain khusta e tayghe...
nazar se hota hai ojhal amariyon ka juloos
nigahein choomti hai nakshe paa khuda hafiz
hussain khusta e tayghe...
dam e wida aaye sughra se pooche le koi
hai ek fikra ke ek marsiya khuda hafiz
hussain khusta e tayghe...
jigar hilaane lage phir hussain ke jumle
behan ye bhai bhi marne chala khuda hafiz
hussain khusta e tayghe...
jahan sakina ko aayi thi aakhiri hichki
wahin pe ab ye sada hai chacha khuda hafiz
hussain khusta e tayghe...
na jaane kaise kahan hoga aap ne zainab
madine jaati hoo ay karbala khuda hafiz
hussain khusta e tayghe...
sada bhi aamir o nayyar ka saath chod na de
ke in labon se ho kaise ada khuda hafiz
hussain khusta e tayghe...