Nusrate haq ke liye karbala me aaye Hussain
Baqaae deene khuda asl hai baqaye hussain , Nusrate haq ke liye karbala me aaye Hussain
1) Falak pe chand nazar agaya moharram ka , Har ek ghar me bapa hogi ab azaye Hussain, Nusrate haq ke liye karbala me aaye Hussain
2) Ghar apna chowd ke nusrath ko shah ki pohnche , Habeeb ibne mazahir ko jab bulaye Hussain , Nusrate haq ke liye karbala me aaye Hussain
3) Kiya wo sajda shahedee'n ne Qaake karbal par , Karega hashr talak naaz ab khudaye Hussain , Nusrate haq ke liye karbala me aaye Hussain
4) Mili hai roshni deene Nabi ko ta mehshar , Bujha ke shamma bahattar diye jalaye Hussain , Nusrate haq ke liye karbala me aaye Hussain
5) Sajaya jata hai jis jaa Alam tera gazi , Dikhayi deti hai humko waha'n ziyaa-e-Hussain , Nusrate haq ke liye karbala me aaye Hussain
6) Kaha hai Fatima zahra se yeh payamber ne , Karegi hashr talak Qaum yeh buka e Hussain , Nusrate haq ke liye karbala me aaye Hussain
7) Dua e madare shabbir ka asar dekha , Har ek goshe me hoti hai jo azaye Hussain , Nusrate haq ke liye karbala me aaye Hussain
8) Yeh boli beto'n ke lasho ke darmiya zainab , Hue hai aun o mohd mere fidaye Hussain , Nusrate haq ke liye karbala me aaye Hussain
9) Bayaan kaise karu mai ke us zayifi me , Uthake laashe jawa'n kis tarha se laye Hussain , Nusrate haq ke liye karbala me aaye Hussain
10) Kaha yeh hazrate muslim ne bar sare darbaar , Koi Ameer nahi hai mera siwa e Hussain , Nusrate haq ke liye karbala me aaye Hussain
11) Sadaye matame shabbir ki fazaa'o me , Rahegi Anjuman e Nasere Azaae hussain , Nusrate haq ke liye karbala me aaye Hussain
12) Jo inteqame Hussaini ki subha ho Hyder , Mai muntazir hun ke us dum mujhe bulaye Hussain