karti hai buka zahra, kya karb ka aalamm hai
Ye maahe moharram hai mazloom ka maatam hai
1) Utra hai karbala me , yu'n fatima ka kunba
garmi ka hai maheena, aur maahe moharram hai
2) apne lahu ki, qushboo, soonghi to shaah bole
Maqtal yahi'n banega, apna yahi'n haran hai
3) Abbas ko bulaao, qaime yahi'n lagaao
asbaab sab utaaro, rukte yahi'n pe hum hai
4) Maidaan-e- karbala me, ab dashte nainawa me
darya-e-alqama pe, abbas ka alam hai
5) Is qafele me sheh ke, kam sin hai aur jawaa'n bhi
in naasero me sheh ke , har eik hum qadam hai
6) pehra hai karbala me , abbase baawafa ka
abbas ki wafa pe, har ek ko bharam hai
7) ek nafse mutmaee'n ka , wo shaahe inso jin ka
har maatami ke oopar, sheh ka bada karam hai
8) Aaye sadaae sarwar, karbobala se hyder
aashor tak hamaare, mehmaan sab haram hai