Alajal Alajal Alajal
1) Mere imaam zamane me besabaati hai
wo karbala ki udaasi tumhei'n bulaati hai
2) Kabhi kya tha wo iz'haar jiska asghar ne
labe furaat wahi pyaas bilbilaati hai
3) jo shaam dekhi thi asghar ne noke naiza par
wo ashk ban ke nigaaho'n me jhilmilaati hai
4) Ye naaseraane aza ki sadaaei'n hai Moula
fazaae karbobala me jo goonj aati hai
5) na hamse ho saka maatam ka haq adaa sheh ke, ye hasrate hai jo ehsaas ko jagaati hai
Alajal Alajal Alajal