Alvida moula. Hussain as alvida moula Hussain as
Roke kehte hai yehi sab azaadare Hussain as
1.Hogaya maahe azaa karsake naa haq adaa
Girya o seena zani se abhi na Dil Bhara Phir se hoyegi bukaa (X 2)
Ghamzadoun ki hai sada .
Alvida moula Hussain as alvida moula Hussain as
2.Seena e akber se jab tumne kahinchi thi sina
Haal e dil ho kya bayan tha nigahoun mein dhuwan
Is musibat ka teri (X 2) Phir se hoga tazkera .
Alvida moula Hussain as alvida moula Hussain as
3.Halq par jis dum tere zulm ka khanjar chala
Khoon rulata hai humein wo tadapna aapka
Kushtaye joor o jafa (X 2)
Ay shaheed e karbala .
Alvida moula Hussain as alvida moula Hussain as
4.Karbala ki dhoop mein saqiye kowsar ka laal
Haay asghar ke liye tera pani ka sawaal
Kis tarha bhulein bhala (X 2)
Teer aur nanha gala .
Alvida moula Hussain as alvida moula Hussain as
5.Phir azakhanoun mein ab ek udasi chai hai
Aakhri purse ko ab fatima jo aayi hai
Kis zuban se hum kahein (X 2)
Alvida ay fatima .
Alvida moula Hussain as alvida moula Hussain as
6.Shaahe dee’n ke khooon ka ab to lene inteqaam
Gaibat e kubra se ab aa bhi ja mere imam
Bas niyam e sabr mein (X 2)
Kab se hai khanjar Tera.
Alvida moula Hussain as alvida moula Hussain as
7.Hai qamar ki ye dua ay binaye farshe gham
Aapke majaye ka dil se hoga gham na kam
Asghari ke matami (X 2)
Roke dete hain sada .
Alvida moula Hussain as alvida moula Hussain as