Alweda alweda aye hussain alweda
Ham se haqqe aza na ada hosaka
1. Ham shabhi e nabi ali akbare jawaa’n
Barchi ki nok se qalb tera chida
Tera lasha na utha – ali akbar alweda
2. Hain roohe qudsi par magar sarfe aza
Har ghadi maa ne bas shah ka matam hai kiya
Bolo sar peetkar- nonehaalo alweda
3. Haaye shabbar ke laal haye haidar ke Jamaal
Tera laasha ran mei ho chuka hai pamaal
Aye farwa ke chand- haaye qasim alweda
4. Aye mere bawafa tujhpa hum sab ka salaam
Tera parcham liye ayenge jab imam
Hoga parcham tale – tera matam alweda
5. Asghare bezabaa’n chid gaya tera gala
Haaye aada ne par tujhko paani na diya
Haaye cheh maah ke sheerkhwaar alweda
6. Haaye shahzadiyo tumne kya kya na saha
Chin gayin sar se rida hogayi’n beparda
Dee’n bachaya tumne- bibiyo sad alweda
7. Thaame pehlu bibi aati’n thi’n har ghar me
Apne shabbier ka ham se pursa lene
Ab wo rounaq na rahi jaati’n hain syeda
8. Hamse haqqe aza na ada hosaka Aur jee bhar ke bhi tera matam na hua
Aye qateelul abara aye shaeede karbala
9. Mirza aur meer ki bas yahi hai ilteja
Tera matam kare hashr tak ahle aza
Kehti hain asghari aye hussain alweda
Kalaam : Mirza Aur Kumai