Kanz e Aza

Asghar Nahi Raha Mera

A noha for Ali Asghar (a.s), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Jhoole Ko Dekh Dekh Ke Karti Thi Maa'n Fughaa'n,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera.

raato'n Ko Jaag Jaag Ke Kisko Du'n Loriya'n ,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera.

1. Sunkar Sada Hussain Asws. Ki Jhoole Se Jo Gira.

qaime Se Ran Mein Baap Ke Hatho'n Pe Wo Gaya.

bechain Thi Khadi Hui Qaime Ke Dar Pe Maa'n,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera.


2. Jhoole Mein Khelta Hua Naada'n Hussain Asws. Ka.

hatho'n Pe Ran Mein Baap Ke Be Jaan Hogaya.

pyasa Sagheer Mar Gaya Lele Ke Hichkiya'n,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera.


3. Lagte Hi Teer Bache Ne Aankhein Phira Diya.

baba Ne Uske Qoon Ko Chullu Mein Leliya.

kaanpi Zameene Karbobala Roya Aasmaa'n,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera.


4. Masoom Gala Chid Gaya Teere Sitam Chala.

hatho'n Pa Mere Laal Ka Qoo'n Saara Beh Gaya.

bano Ko Jaake Mai Bhala Kaise Karu'n Baya'n,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera.


5. Wali Rahe Na Sar Pe Na Bache Rahe Quda.

humraah Mere Zeest Ka Saama'n Yahi Raha.

asghar Asws. Ke Kade Bali Sakina S.a. Ki Baliya'n,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera.


6. Bano Ke Dilruba Se Yeh (mazhar) Ki Hai Dua.

matam Mein Tere Anjuman E Asghari Sadaa.

taa Hashr Ghum Manayenge Tera Ay Be Zubaa'n,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera,, Asghar Asws. Nahi Raha Mera.

az: Shayer E Ahlebait Janab Mazher Abidi Sahab.