Kanz e Aza

Asghar Nisar Karke

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Haider Khursheed. Lyrics in Roman Urdu.

asghar nisaar kar ke shabbir surkh roo hai

bach jaaye deen e ahmad bas yehi justuju hai


zara dekh tu sitamgar teer e sitam chala kar

seh pehlu teer tera khayega muskara kar

imran ka ye khoon hai jo tere roobaru hai

asghar nisaar kar ke...


de kar azan akbar khaane sina chala hai

qurban ho gaya wo burqe mein jo pala hai

tasveer e mustafa ki akbar jo hoobahu hai

asghar nisaar kar ke...


kuch aur bhi talab kar khaliq se keh raha hai

teri bargah mein haazir ye aakhri fidya hai

sar sajde mein khuda se wo mehwe guftagu hai

asghar nisaar kar ke...


aisa dikhao koi is dehr mein namazi

ghar baar ko luta kar rab ko kiya hai raazi

karbobala mein jis ne khoon se kiya wuzu hai

asghar nisaar kar ke...


waqte nizha ho maula shabbir ki ziyarat

is se badi nahi hai mere liye sa'aadat

khursheed mere dil mein bas yehi aarzu hai

asghar nisaar kar ke...