ashoor ka suraj keh dega
khamosh kinara keh dega
jo baat ke asghar keh na sake
behta hua darya keh dega
kis tarha jawani khaak hui
laila ka kaleja keh dega
behte huwe aansu keh denge
utra hua chehra keh dega
ahmed ki nawasi ka aalam
uth'ta hua parda keh dega
kis tarha chini sar se chaadar
jalta hua qaima keh dega
kis tarha gaye asghar ran mein
aabad hui kyun kar turbat
bano ki udaasi keh degi
ujda hua jhoola keh dega
akbar ki ajal aayi pehle
ya barchi ka phal nikla pehle
shabbir ki kismat keh degi
akbar ka kaleja keh dega
ummat ke liye asghar aaye
pani na mila pyase hi gaye
chup hogi agar nanhi si lehad
ujda hua jhoola keh dega
nawak ki khatak dil ki himmat
ummat pe nazar baba ka khayal
kya raaze khuda samjhe asghar
hasta hua chehra keh dega
har gaam pe thokar kha kha kar
jab baap pisar ko dhoondega
kis samt hai akbar ki mayyat
uljha hua rasta keh dega
mashkeeza chida pani to baha
mayyat na hati turbat hi bani
darya ki tarayi kiski hai
abbas ka rauza keh dega
shadi se gharaz shadi kab thi
ye dars e alam tha dunya ko
kuch dayr ka dulha keh dega
ujda hua sehra keh dega