emaan ke ujaale hai ashoor ki garmi hai
shabbir ki qismat hai aur godh ke paale hai
imaan ke ujaale hai ashoor ki garmi hai
yahan dil taho baala hai wahan jaan ke laale hai
shabbir zayeefi mein akbar ko sambhale hai
ashoor ki garmi hai...
jis tarha koi chaahe ghar lootle pyason ka
jalti hui reti par sab chaahne waale hai
ashoor ki garmi hai...
abid ko koi dekhe darbar mein koofe ke
bedi ko uthaye hai zanjeer sambhale hai
ashoor ki garmi hai...
suljhaya tha laila ne uljhi hui zulfon ko
phir maut ne ay akbar bal gaysuon waale hai
ashoor ki garmi hai...
dekho to ali asghar aaghosh mein baba ki
kya kaampte haaton se ummat ko sambhale hai
ashoor ki garmi hai...
be-faiz zamane se kya usko gharaz koi
ab fazl ki dunya ke shabbir ujaale hai
ashoor ki garmi hai...