pyason ka zikr tashna dahani ke saath hai
naam e hussain aaj bhi pani ke saath hai
akbar sina ko di lse laga kar na jaan do
baba ka dil tumhari jawani ke saath hai
pyason ka zikr...
akbar sa naujawan howe asghar sa bezuban
jo hai shaheed tashna dahani ke saath hai
pyason ka zikr...
kehte hai habeeb ki peeron ki zauf thi
lekin jo hausla hai jawani ke saath hai
pyason ka zikr...
allah kitni tez hai asghar ki tashnagi
mudti hui nigaah bhi pani ke saath hai
pyason ka zikr...
kya jaane kitni pyaas mein asghar ne jaan di
jo baat hai wo tashna dahani ke saath hai
pyason ka zikr...
abbas keh rahe hai sakina ki yaad mein
beti chacha ki jaan bhi pani ke saath hai
pyason ka zikr...
pyason ka bekason ka shaheedon ka taskera
ay fazl aansuon ke rawani ke saath hai
pyason ka zikr...