qaayam ghame shabbir hai jab tak hai zamana
taa hashr hai taaza goh hai ye zaqm puraana
ek shab me safar kar lia dozaq se jina ka
seekhe to koi hur se muqaddar ka banaana
insaaf se kehna wo hai insaa'n ke darinde
jo karte hai masoom ko teero ka nashaana
tumko dare shabbir pe aana hi padega
manzoor jo insaa'n ko hai insaa'n banaana
laila hai ye shab aaqri deedaar ka mouqa
kal asr talak husne pisar hoga fasaana
qat beti ka laaye shahedee'n laashe pisar par
likkha tha mujhe bhai ki shaadi me bulaana
laashe ko kiya pyaar ke soughra ne likha tha
bosa ali asghar ko kahi'n bhool na jaana