Kanz e Aza

Yun Halq se Nawak

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Fazl Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

yun halq se naawak takraya

baysheer ko dunya maan gayi

hasta hi raha rone waala

aakhir ko hasi mein jaan gayi


kuch baap ki khusboo si paayi

nana ki mehak si kuch aayi

maqtal ke khareeb aayi jo behan

bhai ka lahoo pehchaan gayi

yun halq se naawak...


girte huwe pani se poocho

thi roohe wafa mashkeeze mein

ek boondh bhi jab baakhi na rahi

abbas tumhari jaan gayi

yun halq se naawak...


zainab ne suna din dhalte hi

rota hai koi maqtal ke khareeb

beti se bhala kya chup sakti

wo maa ki sada pehchaan gayi

yun halq se naawak...


haathon ki rasan dheeli na hui

dil kaamp gaya aansu barse

kya jaaniye kya kismat ne kaha

maa nanhi lehad pehchaan gayi

yun halq se naawak...


aakhar ko sehm kar darya ne

jaldi se bhara mashkeeze ko

abbas ke bigde tewar ko

jo mauj thi wo pehchaan gayi

yun halq se naawak...


shabbir ke sajde ki azmat

pasti mein malak ke hai sajde

ab aage koi manzil hi nahi

kaabe ki bulandi jaan gayi

yun halq se naawak...


abbas e ali ka parcham tha

kis tarha se phaila aalam mein

dushman ki nazar bhi aakhir ko

talwaar ka loha maan gayi

yun halq se naawak...


shabbir ki chaukat tak aa kar

ulfat ne jhukaya sar mera

markaz to yehi hai sajde ka

ay fazl jabeen pehchaan gayi

yun halq se naawak...