Kanz e Aza

Aa Asghar

A noha for Ali Asghar (a.s), written by N. Sarwar & J. Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

aa ali asghar aa


aa asghar bin tere mai chain kahan se paaun

aa laut ke aaja laal tere jee bhar ke naaz uthaun


meri aankh ka taara hai tu mujhko jaan se pyara hai

maa dukhiyari ke jeene ka tu hi laal sahara hai

tujhe chod ke tanha maqtal mein mai kaise shaam ko jaaun

aa asghar bin tere...

aa laut ke aaja laal...


teri wo masoom adayein teri yaad dilaati hai

tere pyar ki wo sab baatein mujhko bahot rulaati hai

mai teri judaai mein beta ro ro ke mar na jaaun

aa asghar bin tere...

aa laut ke aaja laal...


loriyon waale ye to tere naaz uthanae ke din thay

aankhon mein teri khushiyon ke khwab sajane ke din thay

aa laut ke asghar aa beta tera kurta mai badlaaun

aa asghar bin tere...

aa laut ke aaja laal...


bhool nahi sakti maa asghar pyase hont tere beta

khali godh hai aur zindan hai aaja maa ke pass aaja

aa nanhe mujahid mai teri ashkon se pyas bhujaun

aa asghar bin tere...

aa laut ke aaja laal...


kitni hai bechain sakina tere naaz uthane ko

subho shaam tarasti hai wo tera dil behlane ko

teri laadli behan sakina ka mai dil kaise behlaaun

aa asghar bin tere...

aa laut ke aaja laal...