Kanz e Aza

Hasan Imame Hasan

A noha for Imam Hassan (a.s), written by N. Sarwar & J. Jaffri. Lyrics in Roman Urdu.

hassan imam e hassan yabnaz zahra

maula hassan sabz qaba sayyedi maula


panjetani panjateni panjetani ya hassani

ya hassan ya hassan ya hassan imam hassan


gulshan e zehra ka hassan phool hai pehla

nana mohamed ka nawasa hai ye pehla

maula ali ko hai mila laal ye pyara


hassan imam e hassan yabnaz zahra

panjetani panjateni panjetani ya hassani

ya hassan ya hassan ya hassan imam hassan


inki fazeelat mein hai kaafi yehi kehna

kehte imam unko hai shabbir bhi apna

aisa bada bhai nahi hoga dobara


hassan imam e hassan yabnaz zahra

maula hassan sabz qaba sayyedi maula

ya hassan ya hassan ya hassan imam hassan


aap ki mehman nawazi ke hai charche

koi na bhooka hai gaya aap ke dar se

aisa saqi shaah ko hai zehr se maara


hassan imam e hassan yabnaz zahra

panjetani panjateni panjetani ya hassani

ya hassan ya hassan ya hassan imam hassan


rote hai abbas bhi qasim ko sambhale

zainab o kulsoom ke shabbir ke naale

tukde jigar le ke chala bhai hamara


hassan imam e hassan yabnaz zahra

maula hassan sabz qaba sayyedi maula

ya hassan ya hassan ya hassan imam hassan


uth'ta hai taboot mere maula hassan ka

teeron se chalni hai janaza bhi hassan ka

kitne sitam sehta raha maula hamara


hassan imam e hassan yabnaz zahra

panjetani panjateni panjetani ya hassani

ya hassan ya hassan ya hassan imam hassan


bhai ka shabbir ne taboot uthaya

haye kafan bhi nahi shabbir ne paaya

qalb e hassan sabz qaba paara hai paara


hassan imam e hassan yabnaz zahra

maula hassan sabz qaba sayyedi maula

ya hassan ya hassan ya hassan imam hassan