Kanz e Aza

Jawan Ali Akbar

A noha for Ali Akbar (a.s), written by N. Sarwar & J. Jaffri (2022). Lyrics in Roman Urdu.

raahat e jaan wird e zaban

saa'at e azan jaan ali akbaram


jawan ali akbar naujawan ali akbar

ay gul e laila ali jaan ali akbaram

jawan ali akbar naujawan ali akbar


ay dil o jaan e pidar shakle payambar akbar

ay qaraar e dil e zainab gul e maadar akbar

misle abbas e jari shere dilawar akbar

yusuf e fatema zahra dil e hyder akbar

husn e zaman akbar ay naaz e chaman akbar

ay gul e laila...

jawan ali akbar...


maula shabir ne maanga hai duaon mein tumhe

ghazi abbas ne rakha hai panaaho mein tumhe

mil ke do maaon ne paala hai ridaon mein tumhe

rabb e akbar ne rakha noori hijabon mein tumhe

naaz e dil e sarwar ay shabih e paighambar


boli laila ke galay mujhko lagate jao

boli zainab mujhe surat to dikhate jao

bole shabbir meri aas bandhate jao

mujhko nana ki ziyarat to karate jao

haye lahoo mein tar humsurat e paighambar

ay gul e laila...

jawan ali akbar...


kaise maqtal tumhe jaane ki ijazat de doo

kaise qaime se nikalne ki ijazat de doo

kaise is pyaas mein ladne ki ijazat de doo

maa hoo kaise tumhe marne ki ijazat de doo

ay jaan e dil e maadar ye maa ho fida tum par

ay gul e laila...

jawan ali akbar...


khaake seene pe sina zeen se akbar jo gira

ho gaya qaimon mein kohraam bapa wawaila

ye sada dasht mein deta tha ghareeb e zahra

haye akbar mera akbar mera akbar na raha

noor e nazar akbar ay naaz e pidar akbar

ay gul e laila...

jawan ali akbar...