yabnaz zahra wavaila
allah ke pyare hai zehra ke taare hai
kyun ho rahi hai in par jor o jafa
wavaila
karbala mein pyase hai aale rasool
wavaila
karbobala hai khooni fiza hai
kunba nabi ka khoon ro raha hai
darya ko ghayra fauje jafa hai
aur kab se pyasi aale aba
wavaila
karbala mein pyase hai...
kaisa samaan hai di ro raha hai
kis ke liye ye maqtal saja hai
wo jo nabi ka mahelakha hai
us par hai jaari jor o jafa
wavaila
karbala mein pyase hai...
ek din mein ujda ghar fatema ka
hai paara paara dil mustafa ka
aaghaz hai ye karbobala ka
arz o samaan mein matam bapa
wavaila
karbala mein pyase hai...
pyasi sakina mashkeeza thaame
lipti hui hai apne chacha se
masoom bachi nauha kuna hai
pani le aao pyare chacha
wavaila
karbala mein pyase hai...
naam e khuda par deen e khuda par
qurban hoga pyason ka lashkar
aun o mohamed abbas o akbar
qasim o asghar honge fida
wavaila
karbala mein pyase hai...
roz e ashoora mehshar bapa tha
ek din mein saara ghar lut gaya tha
mazloom pyasa tanha khada tha
maqtal mein zehra ki thi sada
wavaila
karbala mein pyase hai...