Kanz e Aza

Wavaila Sad

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

wavaila sad wavaila


kehte hai yehi sab ahl e aza

zehra ka chaman barbaad hua

wavaila sad wavaila


mehman bula kar syed ko

is tarha sataya ummat ne

darya se hata kar qaimo ko

pani pe lagaya hai pehra

wavaila sad wavaila...


wo chand nabi ke ghar ka tha

kehte thay jisay hamshakle nabi

wo chand gaya beenayi gayi

us ghar se ujaala rooth gaya

wavaila sad wavaila...


tasveer e hassan tha ek beta

farwa ke kaleje ka tukda

wo dulha bana aur qatl hua

zainab ne kaha ay mere khuda

wavaila sad wavaila...


wo jis ke alam se pyason ko

ashoor talak ek aas rahi

jab qatl hua saqqa e haram

thi khushk zubano par ye buka

wavaila sad wavaila...


do hi to pisar thay zainab ke

bhai pe jinhe qurban kiya

jab aun o mohamed maare gaye

zainab ne nahi sarwar ne kaha

wavaila sad wavaila...


jis shehazadi ko suraj ne

sar nange nahi dekha tha kabhi

us zainab ko dikhlaya gaya

darbar e sitam bazaar e jafa

wavaila sad wavaila...


qaidi ki tarha se zainab ko

galiyon may layeen le jaate thay

beemar musafir bebas tha

bas karta raha har gaam buka

wavaila sad wavaila...


mazhar wo qayamat ka manzar

lafzon may bayan kar sakta nahi

aankhon se lahoo barsaata hua

kanton pe imam e waqt chala

wavaila sad wavaila...