mera sukoon bolta hai kabhi junoon bolta hai
aza jo hai hamara wirsa kabhi ye khoon bolta hai
ye maahe moharam ka hashm zinda rehga
bas aap ke shabbir ka gham zinda rahega
ya ali ya fatema
hum ahle aza haq ke tarafdaar rahenge
bas aap ke bachon ke wafadaar rahenge
hum majlis o matam ke talabgaar rahenge
ghazi ka alam le ke alamdar rahenge
matam ki fazaon mein alam zinda rahega
bas aap ke shabbir ka...
ya ali ya fatema...
zehno pe asar karta rahega ghame shabbir
naslon mein safar karta rahega ghame shabbir
dil baar digar karta rahega ghame shabbir
har qalb mein ghar karta rahega ghame shabbir
is qaum pe ghazi ka karam zinda rahega
bas aap ke shabbir ka...
ya ali ya fatema...
ghaafil ghame shabbir se ek pal nahi honge
baatil ke kabhi khwaab mukammal nahi honge
ye haath jo matam ko uthe shar nahi honge
ye maana ke hum aaj hai par kal nahi honge
qaayim se bahram se ye bharam zinda rahega
bas aap ke shabbir ka...
ya ali ya fatema...
hum zehno se ashoor utarne nahi denge
hum maqsade shabbir ko marne nahi denge
tasbeeh e aza jo hai bikharne nahi denge
ab zulm se takrayenge dharne nahi denge
ye zikre shehenshahe umam zinda rahega
bas aap ke shabbir ka...
ya ali ya fatema...
har baras arbaeen ashoor manaane ke liye
karbala jayenge hum farsh bichane ke liye
jo lahoo par hai wohi karz chukane ke liye
haram e shaah mein khoon apna bahane ke liye
bas aap ke shabbir ka...
ya ali ya fatema...
bhool sakte hi nahi asr ka hangaam kabhi
halqe shabbir pe jis waqt chali kund churi
surkh aandhi ka wo chalna wo qayamat ki ghadi
goonj uthi gham ki azan har taraf aag dhuan
kar rahi thi ye fughan qabre baysheer pe ye maa
ye gham ali asghar ki qasam zinda rahega
bas aap ke shabbir ka...
ya ali ya fatema...
awaaz e azadaar hai maaninsa hussaina
dil maail e guftaar hai maaninsa hussaina
mazhar bhi garafgaar hai maaninsa hussaina
safdar ka ye izhaar hai maaninsa hussaina
haq baat jo likhe wo qalam zinda rahega
bas aap ke shabbir ka...
ya ali ya fatema...