Kanz e Aza

Ya Baqiatullah

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

ya baqiatullah ya hujatullah

ya ibne hyder ya ibna zahra


aaiye zulm hadh se siwa ho gaya

be-sabab momim qatl rawan hogaya

aap ka ishq wajhe saza ho gaya

ab hamare labon par hai har dam sada

ya baqiatullah….


tez tar hogayi kufr ki aandhiyan

kufr ki zad pe hai haq ke ab pasban

ab to aajiye ay shahe ins o jaan

humko dije amaa mazhare kibriya

ya baqiatullah….


ab na mehfooz masjid na mehrab hai

kufr o zulmat ka har simt sailaab hai

har muhib dard e furqat se betaab hai

maangte hai ye ro ro ke momin dua

ya baqiatullah….


aaiye aaiye ab khuda ke liye

binte zehra ke sar ki rida ke liye

inteqam e shahe karbala ke liye

dijiye dushmane deen e haq ko saza

ya baqiatullah….


bazme kaunain may hukmaran aap hai

dhoop hai ye jahan sayeban aap hai

marziye rab wahan hai jahan aap hai

aap ki zaat hai hujjate kibriya

ya baqiatullah….


barishe noor dunya may barsaiye

rehm farmaiye rehm farmaiye

ya imame zaman jald aajiye

aap bhi misle hyder hai mushkil kusha

ya baqiatullah….


waasta tumko sajjad e maghmoom ka

waasta hai tumhe shahe mazloom ka

waasta hai tumhe halqe masoom ka

apne lashkar se maula tu humko mila

ya baqiatullah….


waqt par hukmarani hai maula teri

saltanat javedani hai maula teri

khuld to raajdhani hai maula teri

hai riyaz ek adna sa naukar tera

ya baqiatullah….