Kanz e Aza

Ya Fatema Zahra

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Mazhar Naqvi. Lyrics in Roman Urdu.

ya zahra maadar jaan


noore dile maadar bizzat e paighambar

chara gare aalam man nafase hyder


azmat o riffat mein raha tera arfa o aala maqam

bar aale mohamed salaam


salaam ay gohar e darya e noor

ay aaya e zeeba e ishq

reehana e roohe khuda

salaam ay daar o nadaar e ali

ay bood o nabood e hassan

ay maadar e arbaab e man


zikre labe naukar ha sayyedati labbaiake

ya fatimatu zahra sallallah ho alaike


haq ka tere dum se aaj ujaala hai

teri sadaqat ka tauheed hawala hai

tere sabab hi deen e khuda ko hai meri bibi dawaam

bar aale mohamed salaam


salaam e johar e ilm o yaqeen

ay sitwat e noor e mubeen

ay nayyar e arsh e wila


salaam ay yawar e roohul ameen

ay rahat qalbe hazeem

ay saaya e daste khuda


kaunain hai tera sadqa sayyedati labbaiake

ya fatimatu zahra sallallah ho alaike

ya zahra...


noor tere rukh ka jalwa e rehmani

hasti teri bibi naimat e yazdani

umme abhia noori hijabon mein raha tera payaam

bar aale mohamed salaam


salaam e markaz e izz o sharaf

ay zauja e shaah e najaf

ay baanu e roz e jaza


salaam ay ayaat e sabr o rizza

ay maalik e qadar o qaza

ay saaya e daste khuda


umr e khudaai yaqta sayyedati labbaiake

ya fatimatu zahra sallallah ho alaike

ya zahra...


auje fasahat hai quran e balaghat hai

jaane risalat hai bunyad e imamat hai

tujhsa nahi hai koi jahan mein dukhtare khairul anaam

bar aale mohamed salaam


salaam ay ismat e shams o zuha

ay iffat e bard o duja

ay taaj e sar e ambiya


salaam ay rutba shanas e ali

ay asal o asaas e ali

ay saaya e daste khuda


maqsad e inna aatayna sayyedati labbaiake

ya fatimatu zahra sallallah ho alaike

ya zahra...


paala jise tu ne chakki ki mushaqat se

ranj hua na haq wo fitna e ummat se


badr o ohud ka tere pisar se kaisa liya inteqam

bar aale mohamed salaam


salaam bar akbar e shireen sukhan

bar asghar e tashna dahan

bar saakin e karbobala


salaam ay maadar e khasta badan

ay muztar e runj o mahan

ay saaya e daste khuda


binte ali ka nauha sayyedati labbaiake

ya fatimatu zahra sallallah ho alaike

ya zahra...


maare gaye pyase rondhe gaye laashe

cheeni gayi chadar loote gaye qaime


shaam e ghariban mein jale haye darya kinare qayaam

bar aale mohamed salaam


salaam ay ghurbate aal e abaa

ay taabish khoon e khuda

ay hurmat e khaak e shifa


salaam ay taalib ashk e azaa

ay ghurbat e khairunnisa

ay saaya e daste khuda


marra gaya sab kunba sayyedati labbaiake

ya fatimatu zahra sallallah ho alaike

ya zahra...


shadman aur mazhar hai karb ke aalam mein

haath uthaate hai mazloom ke matam mein

ye azakhana apna thikana hum isi dar ke ghulam

bar aale mohamed salaam


salaam ay umme abhiya salaam

ay aayat e uzma salaam

ay urwat e usqa salaam


salaam ay ishq e suraiya salaam

ay saaya e tooba salaam

ay madaar e yaqta salaam


wird e zuban har lamha sayyedati labbaiake

ya fatimatu zahra sallallah ho alaike

ya zahra...