ya zahra ya zahra
aelaan suno ay dunya waalon
ayyame aza e zahra hai
aur pyare nabi ki beti ka
har ghar mein matam barpa hai
jo kehti thi ye ro ro kar
daffini fil layl ya ali
aao mil kar ek kaam karo zahra ka matam aam karo
ban jao matamdar raazi honge sarkar
haq banta is bibi ka ho shaam o sahar bas ek sada
ya fatema zahra ya zahra
fatema baz'ato minni hai ye farman e nabi
ummat ne jaan kar bhi aap ko rulaya bibi
jab dar giraya bibi maare gaye mohsin bhi
na bhoolenge hum bibi zakhmi pehlu aap ka
ya fatema zahra ya zahra...
aap darbar se jab laut ke aayi shehzadi
athara saalon mein lagti thi ek zaeefa jaisi
baalon mein thi safedi aur kamar bhi kham thi
ye haal tha ke zainab ne bhi na pehchana
ya fatema zahra ya zahra...
ghurbat mein saath apne waali ka nibhaati rahi
zakhmi haalat mein bhi wilayat ko bachati rahi
dar khat khatati rahi sab ko bataati rahi
jab tak zinda rahi ali ko na tanha choda
ya fatema zahra ya zahra...
chup chup ke aap ne hasnain se aansu bahaye
apne baba ke madine mein itne zakhm khaaye
ghusl dene ke liye haye ali jab aaye
tooti phasliyan dekhi cheekh ke roye maula
ya fatema zahra ya zahra...
de chuke aap ko jab saath ridaon ka kafan
rakh kar janaza wahin baith gaye khyber shikan
bole hat akar kafan aao hussain o hassan
bacche jab maa se lipte ghar mein ye kohram tha
ya fatema zahra ya zahra...
aaye hai dekh ke zeeshan aur irfan e aza
kitni udaasi hai turbat pe na saaya na diya
tameer ho baqayya khatm ho ab andhera
roshan ho aap ka rauza bhi misle karbala
ya fatema zahra ya zahra...
na bhoolenge na bhoolenge darbar kabhi na bhoolenge
ay bibi aap ka hum zakhmi rukhsar kabhi na bhoolenge
hum kehte rahenge ro ro kar ay bibi aap ke haathon par
talwaar ke daste se jo hua wo waar kabhi na bhoolenge