Kanz e Aza

Yaqeen Nahi Aate

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Zeeshan Abidi (2026). Lyrics in Roman Urdu.

jab aayi bete ki turbat pe maadare abbas

bithaya zainab o sajjad ne lehad ke paas

ye jab suna ke yahin dafn hai mera ghazi

lehad ko dekh ke hairat se maa ye kehne lagi


mujhe yaqeen nahi aata tere baazu kate

nazar utaar ke bheja tha maine ghar se tujhe


ye soch soch ke is maa ki jaan jaati hai

kya tere jaise jawan ko bhi maut aati hai

tu mujhko chod gaya mai ye maan loon kaise

mujhe yaqeen nahi...


kata ke haath mere laal jab tu zeen se gira

badan se pehle laga khaak par tera chehra

tadap ke reh gayi jab ye bataya zainab ne

mujhe yaqeen nahi...


suna hai kaano se tere rasan guzaari gayi

hua hai ghode ke pairon se tera sar zakhmi

tha raahwaar ki gardan mein tera sar aise

mujhe yaqeen nahi...


balayein leti thi mai ghar mein jab tu chalta tha

mai jaanti hoon tu qaamat mein sher jaisa tha

phir itni choti si turbat mein aa gaya kaise

mujhe yaqeen nahi...


hai fatema se ye ummul baneen ka waada

hamesha baad mein royegi maa tujhe beta

abhi mai aayi hoon qabre hussain pe ro ke

mujhe yaqeen nahi...


mujhe bataya tha sajjad ne ye ro ro kar

kahin thay haath kahin paaon aur kahin tha sar

sitamgaron ne tere kitne kar diye tukde

mujhe yaqeen nahi...


magar mai khush hoon ke tu ne wafa nibhayi hai

jabhi to maa ye madine se milne aayi hai

tu zinda hota to tujhko lagati seene se

mujhe yaqeen nahi...


pakad ke baalon se naaqe se jab utaarta tha

sakina tum ko pukare to shimr maarta tha

tamache khaaye hai tere liye sakina ne

mujhe yaqeen nahi...


tadap ke bibi ne zeeshan aur raza ye kaha

tumhare hone se ummul baneen thi beta

koi bhi ab mujhe beton ki maa nahi bole

mujhe yaqeen nahi...