Kanz e Aza

Ya Sayyeda

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Baqar Zaidi. Lyrics in Roman Urdu.

assalam o alaiki ya

sayyeda tahira raziya marzia fatema


ya sayyeda khairunnisa

ya marzia ya fatema

dunya tumhari khaak e paa

ya marziya ya fatema


chakki chalayi deher ki

fuqra ko naano zarr diye

khud faaqa kash reh reh ke bhi

saael ke kaase bhar diye

jo kuch bhi tha chup chap wo

raahe khuda mein de diya

ya sayyeda...


tazeem yun baba ne ki

umme abiha ban gayi

is waaste ashraaf ne

tazeem tere ghar ki thi

dar par tere utre malak

khud chal ke taara aagaya

ya sayyeda...


tum maalik e lau laak ho

aur saahib e aflaak ho

tum tahira tum marzia

tum rijz se bhi paak ho

bas ek teri dehleez par

sajde kare sab ambiya

ya sayyeda...


jannat ke jo sardaar hai

wo aap ke hubdaar hai

jinka zamana muntazir

wo aapke ghamkhwar hai

shehzadi e kaunain ki

tauseef kaise ho bhala

ya sayyeda...


gham tujhpe hai itne pade

umme masayeb hogayi

baba ka gham mohsin ka gham

dil mein liye hi mar gayi

teri shahadat ka sabab

darbaar jana hogaya

ya sayyeda...


baad e mohamed aap par

toote masayeb kis khadar

pehlu shikasta kar gaye

jo aag laaye tere ghar

ummat ne baba ko tere

ajre risalat yun diya

ya sayyeda...


subbat alaiyya baba jaan

kehti rahi jab fatema

likhun bhala mai shadman

kis tarha se ye marsiya

binte rasoole paak par

jo zulm baqar ho gaya

ya sayyeda...