Aaoozoo billahi minash shaitanir rajim
Bismillahir rahmanir rahim
Allahuma ini asaluka wa atawajja hu ilayka
Binabiyi ka nabiyir rahma
Muhammadin salalahu alayhi wa ali Ya abal kasim
Ya rasulullah Ya imamar rahma
Ya sayyidi na wa mawla na
Inna tawaj jahna wastash fahna watawasal na bika ilallah
Wa kaddam na ka bayna yaday hajaa ti na
Ya wajiha indallah, ishfa lana indallah (x2)
1) Bare ilaha banke sawali tere huzur (x2)
Daman me apne laye hay be inti ha khusur
Lakin hamare sino pe matam ka dekh noor
Apne nabi ke sadke may bakshenga tu zarur
Ya wajiha indallah, ishfa lana indallah (x2)
2) Mawla Ali ka rabbe jahaa tujko wasta
Ya Rab baraye Fatema siddiqa tahera
de ilm aur rizq ka sagar bharaa huwa
Tute na nemato ka mere ghar se silsilaa
Ya wajiha indallah, ishfa lana indallah (x2)
3) Malik tuje imame Hasan ka hay wasta
Jiske lahu se karbobala ki hay ibtidaa
Haan us imame aman ka sadqe aey kibriya
Is mulk may ho aman ka parcham khula huwa
Ya wajiha indallah, ishfa lana indallah (x2)
4) Ab wasta Hussain alaihis salaam ka
Parwar digar sabre shahe tishna kam ka
Jiske laboon pe vird tha tere hi nam ka
Ya wajiha indallah, ishfa lana indallah (x2)
5) Ya Rab tu meri hasti ko aisa sanwar day
Tu apni rehmato se mera ghar nikhaar day
Sajjad ka tu sadqay may parwar digar day
Beemar ko shifaa de mukammal qarar de
Ya wajiha indallah, ishfa lana indallah (x2)
6) Malik Imam-e Baqar o Jafar ka wasta
Majlis me mai hussain ki karta hu ye dua
Dono ka wasta tuje deta hu aey Khuda
Maqrooz jo hay ghaib se kar unka qarz ada
Ya wajiha indallah, ishfa lana indallah (x2)
7) Ya Rab baraye Moosae Kazim Ali Raza
Mashhad may aur Najaf may jo hay qiblae dua
Tu inke wasta se wo aulad kar ata
Maa bap jis se shad ho jinki ho ye sadaa
Ya wajiha indallah, ishfa lana indallah (x2)
8) Ya Rab baraey Maula Naqi taqwae Taqi
De jazba e jihade basad shaan-e Askari
Mehdi ka bhi zahur dikha de isi sadi
Tere huzur meri dua hay ye aakhri
Ya wajiha indallah, ishfa lana indallah (x2)
9) Ya wasiyal Hassan Wal khalafal hujjah
Ya sayyidi na wa mawla na
Inna tawaj jah na watawassal na bika ilallah
Wa kad dam naka bayna yaday hajaati na
Ya wajiha indallah, ishfa lana indallah (x2)