kha gaya sehzadiyon ko gham isi ehsaas ka
haye tha rehwaar ki gardan may sar abbas ka
kahan na-paak nazrein aur kahan abbas ki behnein
pareshan hai ali ki betiyan abbas ki behnein
isi khaatir tha sar rehwaar ki gardan may ghazi ka
ke dekhe na sare noke sina abbas ki behnein
kahan na-paak nazrein...
aseeri be-ridayi shaam ke bazaar ka aalam
na jaane degi kitne imtehan abbas ki behnein
kahan na-paak nazrein...
khadi hai baab e sa'at par na jaane kitne pehron se
musalmano tumhare darmiyan abbas ki behnein
kahan na-paak nazrein...
tilawat kar rahi hai khoon may doobi hui aankhein
sunengi kaise nange sar azaan abbas ki behnein
kahan na-paak nazrein...
khajoorein phaynkte hai log sadqe ki aseeron pe
kare kis se musibat ye bayan abbas ki behnein
kahan na-paak nazrein...
khadi hai sar chupaye patharon ki tez baarish may
shaheedon ke saron ke darmiyan abbas ki behnein
kahan na-paak nazrein...
khule sar jis najis maahol se ho aayi logon
rahengi ab sada girya kuna abbas ki behnein
kahan na-paak nazrein...
chali hai maarka sar shaam ka karne ghareebi may
bandhaye baazuon may rassiyan abbas ki behnein
kahan na-paak nazrein...
dikha kar neel boli betiyan zehra ke markhad par
ujad ke aayi hai ghar dekh maa abbas ki behnein
kahan na-paak nazrein...
chupayengi bhala ab maadar e abbas se kaise
ye durron ki azziyat ke nishan abbas ki behnein
kahan na-paak nazrein...
bayan rizwan o mazhar ho nahi sakti qayamat tak
ghamon ki hai mujassam daastan abbas ki behnein
kahan na-paak nazrein...