Kanz e Aza

Abbas Kya Kare

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Qamar Hasnain. Lyrics in Roman Urdu.

haye abbas kya kare

roka hua hai taygh ko ghazi hai tashnakaam

hukm e imam e waqt se majboor hai ghulam

armaan saara jang ka ashkon mein beh gaya

abbas aaj laashe uthaane ko reh gaya


milti nahi hai ran ki riza jab imam se

abbas kya kare

laashon pe laashe aate rahe dekhta rahe

abbas kya kare


koi baccha maqtal se jab

khoon mein naha kar aata hai

aaqa laasha laate hai to

sharm se sar jhuk jaata hai

tukde huwe hai khaak pe wo godh ke pale

abbas kya kare...


baba ijazat milti nahi

aaj bahot sharminda hoo

aun o mohamed jaan se guzre

aur mai ab tak zinda hoo

binte ali ke lakhte jigar dono mar gaye

abbas kya kare...


maqtal mein kya haal hua hai

aaqa hassan ke bete ka

dil mein mere zakhm bana hai

qasim ke har tukde ka

ghatri bana ke laayi gayi mere saamne

abbas kya kare...


ek tadbeer ye maqtal ki hai

mashk mai le kar jaunga

bibi sakina ki khaatir mai

pani le kar aaunga

maangi hai is ne izne wigha haath jod ke

abbas kya kare...


darya saamne behta hai bas

izn wigha ka mil jaaye

saaqi e kausar ke bacchon par

pani bandh hua haye

rote huwe ye aas se hai mujhko dekhte

abbas kya kare...


khwahish ye hai aakhri lamha

unki ziyarat hum paayein

aisa nahi ho laash utha kar

mere aaqa thak jaaye

aaye madad ko aaqa mere kis tarha kahe

abbas kya kare...


shadman pani lene gaye

abbas ki mushkil kam na hui

teer qamar aankhon mein laga tha

khoon baha aur mashk chidi

sar pe laga hai gurz mere haath kat gaye

abbas kya kare...