zainab utho shabbir badho
zainab utho bhai ke galay ko bosa do
amma ki wasiyat poori ho
shabbir badho tum choomo
behen ke baazu ko
amma ki wasiyat poori ho
zainab rakhna ye dhyaan zara
shabbir na tanha reh jaaye
bachon ko fida tum kar dena
bhai pe musibat jab aaye
ab zainab tum bhi saath chalo
amma ki wasiyat poori ho
zainab utho...
mai deen ko bachaunga zainab
har dukh mai uthaunga zainab
gardan ko kataunga lekin
gardan na jhukaunga zainab
nana se waada poora ho
amma ki wasiyat poori ho
zainab utho...
sandook may rakkha tha maine
le aao wo kurta meri behen
jab laash ko meri loote to
reh jaaye badan par ek kafan
poshaak purani le aao
amma ki wasiyat poori ho
zainab utho...
gardan chil jaaye tauq se jab
abid ke zakhmon ko dhona
ummat ka parda rakhne may
chin jaaye rida to mat rona
tum to tatheer ki waaris ho
amma ki wasiyat poori ho
zainab utho...
bhai hai tadapta maqtal may
qaime se nikal kar pahuncho ab
shabbir ke be-sar laashe ko
haathon pe uthaalo ay zainab
majaaye ko ab qurban karo
amma ki wasiyat poori ho
zainab utho...
shabbir ka maqsad leke chalo
haq baat karo darbaron may
majlis ho bapa zindanon may
ho farshe aza bazaaron may
tum karbobala ka zikr karo
amma ki wasiyat poori ho
zainab utho...
jaate hai namaze asar ko sheh
lab tishna hai aur tan zakhmi
kehte hai qamar maula in se
reh jaaye namaze shab na kabhi
bhai ko shabon may yaad rakho
amma ki wasiyat poori ho