Kanz e Aza

Amma Laut Aayi Hoo

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram. Lyrics in Roman Urdu.

amma laut aayi hoo mai

daagh dil pe bahattar ke laayi hoo mai


jab gaye thay yahan se to ghar tha bhara

gulsitan tera phoolon se abaad tha

haye dashte sitam haye karbobala

loot kar legayi sab bhara ghar mera

sab luta aayi teri kameini hoo mai

amma laut aayi hoo....


qasimo akbaro asghare dilruba

sab ke sab hogaye karbala mein juda

sher jaisa wo abbas bhai mera

katgaye haath saahil pe maara gaya

nehr pe bekafan chod aayi hoo mai

amma laut aayi hoo....


choomti thi bade pyar se jo gala

dasthe ghurbat mein tan se hua wo juda

ek khatra dame zibha mil na saka

laadla tera pyasa jahan se gaya

khoon bhara payrahan saath laayi hoo mai

amma laut aayi hoo....


baade shabbir itna bada hausla

cheen kar legaye chadare ashkiyan

qaima e ahl par thay rasoole khuda

aag lagti gayi khaak hota gaya

jalte qaimon se abid ko laayi hoo mai

amma laut aayi hoo....


jaa baja pa barehna yuhin sar khule

shaam o koofa ki galiyon mein khaynche gaye

kya kahoon waaliye shaam ke saamne

haath thay rassiyon mein hamare bandhe

neel baazu ke dikhlane aayi hoo mai

amma laut aayi hoo....


wo dulaari sakina bhatiji meri

kha rahi thi tamache mai chup thi khadi

haye re bebasi haye bechaargi

wo sitam jhelte jhelte mar gayi

shaam ki qaid mein chod aayi hoo mai

amma laut aayi hoo....