Sehte Hue Ranj-o-mehan Jab Qafila Pouncha
Zehra Ki Turbat Par Yehi Kehti Thi Zainab Khastatan
Kadyal Jawan Akbar Mera Barchi Se Dil Uska Chida
Laila Tadapkar Rehgayi Bare Ka Lasha Na Kafan
Ibne Hasan Dulha Bana Pamal Qasim Hogaya
Kya Haal Kubra Ka Kahoun Bewa Hai Lamhoun Ki Dulhan
Abbas Mera Bawafa Shane Katakar Sogaya
Aakoun Me Hai Abtak Meri Bedast Wo Zaqmi Badan
Besheer Asghar Margaya Nanha Gala Us Ka Chida
Jo Teer Asghar Ko Laga Hai Sabke Diloun Me Wo Chuban
Amma Sunaoun Aur Kya Bachoun Ko Qurban Kardiya
Bhai Na Mera Bach-Saka Zinda Rahi Bekas Behan
Bhai Mera Tanha Hua Har Simt Se Ek Zulm Tha
Qanjar Gale Par Chalgaya Pamal Tha Us Ka Baadan
Ghar Lut-Gaya Qaime Jale Lashe The Maqtal Me Pade
Sham-e-Gariban Teeragi Sunsan Wo Karbala Ka Ban
Sunlo Ye Rudad-e-Safar Amma Luta Jungle Me Ghar
Chader Bhi Meri Chin-Gaye Maqtal Me Bhaiya Bekafan
Bazaroun Me Jana Pada Darbaroun Me Thi Berida
Mushkil-Kusha Ki Betiyan Aur Bazoun Me Thi Rasan
Kaisa Sitam Abid Pa Tha Zanjeer Me Jakda Gaya
Ab Aao Uthakar Dekhiye Bimar Ka Zaqmi Badan
Qaid-e-sitam Ki Bebasi Amma Sakina Margayi
Uaka Hi Kurta Khoon Bhara Bekas Sakina Ka Kafan
Ab Haal Beti Se Suno Sougath Layi Hoon Utho
Shanoun Pe Rassi Ke Nishan Aur Bhai Ka Hai Pairahan
Kaisa Bhara Ghar Lutagaya Likhe Rasheed Ab Aur Kya
Nouha Yehi Zainab Ka Tha Aakhon Me Hai Ujda Chaman