Amma Teri Duhai Amma Teri Duhai
Karbobala Se Lut Kar Zainab Watan Ko Aayi
Ranjo Mehan Uthai Karbobala Ke Ban Me
Kode Lage Badan Par Bazu Bande Rasan Me
Mat Pucho Kis Tarha Se Dil Par Mai Gham Uthaai
Kadiyal Jawan Ka Sina Barchi Se Chid Gaya Tha
Shabbir The Akele Lasha Jawan Ka Tha
Rote The Ambiya Bhi Roti Thi Ye Khudai
Ek Pal Me Thi Wo Bewa Kubra Tumhari Amma
Qasim Ki Lash Aayi Tum Ko Pukari Amma
Pamal Lash Me The Do Hath Jab Hinai
Teer-e-sitam Laga Tha Nanhe Se Jab Gale Par
Pucho Na Hale Sarwar Pucho Na Hale Madar
Asghar Jo Muskuraye Rone Lagi Khudai
Mash-ko-alam Sambhale Do Hath De Ke Ghazi
Sahil Pe Ek Banadi Dunya Nayi Wafa Ki
Uncha Alam Kiya Hai Abbas Mera Bhai
Surat Thi Wo Sawali Bate Thi Bholi Bhali
Seene Pe Sone Wali Naazo Ki Thi Wo Pali
Aayi Na Wo Watan Ko Zindan Me Mouth Aayi
Iqbal Binte Zehra Turbat Pe Maa Ki Aaye
Kurta Lahoo Bhara Ek Bhai Ka Leke Aaye
Turbat Batool Ki Jab Dekho Hai Thar Tharai