Kya Dard Ka Manzar Hai Dekho Na Idhar Moula
Barchi Se Huwa Tukde Akbar Ka Jigar Moula
Akbaar Ko Jo Deka Hai Zaqmi Hai Nazar Moula
Laila Ka Kaleje Hai Kya Khoon Me Tar Moula
Ab Laaash Utani Hai Ham Shakle Payambar Ki
Abbas Chale Aao Thame Hai Kamar Moula
Akbar Teri Furqath Mai Kis Tarha Jiye Laila
Ye Sounch Ke Late Hai Kya Lashe Pisar Moula
Sugra Ko Bahut Armaa Tha Bhai Ki Shadi Ka
Kya Guzregi Sunthe Hi Marne Ki Khabar Moula
Lakhoun Hai Udar Dushman Aur Khoon Ke Pyase Hai
Baad Akbar-e-Mehru Ke Tanha Hai Idhar Moula
Hai Aun-o-mohammed Aur Abbas Na Akbar Hai
Kis Tarha Se Ab Hogi Zainab Ki Basar Moula
Ruksaar Huwe Nile Shaizadi Sakina Ke
Pabande Salasil Hai Bimar Pisar Moula
Jab Shimre Sitamgar Ne Pyase Ka Gala Kata
Aey Meer Tha Sajde Main Rakkey Huwe Sar Moula