Barchiyo me dil ka tukda reh gaya
Sheh ki aankho'n me andhera reh gaya
Ae falak sehne sitam ke waaste
kya nabi zaado'n ka kunba reh gaya
Noke naiza par sare akber se saath
Umme laila ka kaleja reh gaya
Ab na wo akber hai na husno shabaab
Haa'n magar dunya me charcha reh gaya
Odh'ti kyu kar rida binte ali
Be kafan bhai ka lasha reh gaya
Isko kehte hai wafa ahle wafa
Bhar ke saqqa mashk pyaasa reh gaya
Jal gaye qaime ridaaei'n chin gayi
qaanae zahra me ab kya reh gaya
Jhaad kar daaman shahedee'n uth gaye
Maalike kounain tanha reh gaya