haye kunba rasool e anaam ka
khanwada payambar ka loota gaya
barsare karbala barsare karbala
shaah ki jaan tha akbar e naujawan
muttaqi paarsa raunaqe khaandan
hamshabihe mizaaj o shahe mursala
khush mizaaji pe garweeda saara jahan
aur phir uske seene pe naiza laga
barsare karbala barsare karbala
khanwada payambar ka...
saath zainab ke do laal bhi aaye thay
jinki khaahish thi ye subhe ashoor se
kaash unko bhi ran ki ijazat milay
lashkare shaam unke hunar dekhle
aur phir unki laashon pe matam hua
barsare karbala barsare karbala
khanwada payambar ka...
izn jab sheh se qasim ko mil na saka
laake baazu ka taveez sheh ko diya
padhke khat bhai ka khoob girya kiya
izn paa kar bhatija bhi ran ko chala
aur ghodon ki taapon se raundha gaya
barsare karbala barsare karbala
khanwada payambar ka...
sochte thay ali baat kaise badhe
mera waaris bhi ho karbala ke liye
ye ali ki dua thi jo ghazi milay
sheh ke baazu bane baazu abbas ke
aur phir usko bedast maara gaya
barsare karbala barsare karbala
khanwada payambar ka...
jab madine se nikle thay shaahe huda
sirf kuch din ka tha asghare mehlekha
din guzarte rahe waqt kat'ta raha
aur masoom cheh maah ka hogaya
aur phir usko payka'n ne zibha kiya
barsare karbala barsare karbala
khanwada payambar ka...
keh raha tha musalsal pisar saad ka
asr ka waqt nazdeek tar aagaya
kya namazein khaza sab ki karwaega
kaat ay shimr jaldi se sheh ka gala
aur phir sheh ki gardan pe khanjar chala
barsare karbala barsare karbala
khanwada payambar ka...
chadare bibiyon ke saron se chini
sirf qaime nahi saari cheezein jali
bar bariyat ne saari hadein paar ki
nafs kaunain ki jaise ruk si gayi
phir ghareebon ki shaam aayi din dhal gaya
barsare karbala barsare karbala
khanwada payambar ka...
jaane kaise jahan se jo pani mila
sabse pehle sakina ko dhoonda gaya
aur jab usko kooze mein pani diya
maa se poocha ke asghar kahan hai mera
phir chali suye maqtal wo karti buka
barsare karbala barsare karbala
khanwada payambar ka...
zainabe benawa hoke zainulliba
maqsade shaah dono ki nazron mein tha
aur tahaffuz shariyat ka aise hua
ke maqtal pe sab ne tayammum kiya
farz shahid sabhi ne ada kar diya
barsare karbala barsare karbala
khanwada payambar ka...