Kanz e Aza

Ek Luta Khafela Safar

A noha written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

ek luta khaafela safar mein hai

har qadam karbala nazar mein hai


qalb mein sab ke daag-e-akbar hai

aur nazron mein zakhm-e-asghar hai

paas shehrag ke kund khanjar hai

khushk honton pa naam e hyder hai

maqsad e shahe deen nazar mein hai

ek luta khaafela…


khaafile mein bohat se bache thay

gyarvi ko jo karbala se chale

raaston mein giray thay oonto se

is tarha se ke phir kabhi na uthe

maut ki gunj reh guzar mein hai

ek luta khaafela…


khaafile mein hai aisi maayein bhi

godh ujdi chini ridayein bhi

ab to lab par nahi duayein bhi

sogaye thak ke sab sadayein bhi

bas dhuwan hi dhuwan nazar mein hai

ek luta khaafela…


ek beemar khaafela salaar

tauq o zanjeer ka uthaye baar

maaom behno ka saath aur bazaar

aakhri marhala bhara darbaar

sabr hi sabr rahbar mein hai

ek luta khaafela…


raunaq e khaafla thi ek bachi

baap ko yaad kar ke jab roti

us ko is jurm ki saza milti

zulm itna hua ke ji na saki

ab wo bachi andhere ghar mein hai

ek luta khaafela…


ho chuki jab tamaam ruswayi

yaani islam ki maseehayi

khaafla le ke sheh ki maa jaayi

lut ke nainawa ki simt aayi

asr e ashoor chashm e tar mein hai

ek luta khaafela…


jab madine ko jayega kunba

hogi shahid qayamatein barpa

sochti hai ye zainab e kubra

kaise sughra ka saamna hoga

shakl sughra ki bas nazar mein hai

ek luta khaafela…