har nafas hai ye wirde zainab-e-zaar
ya ali ya hussain ya abbas
maut hai door zindagi dushwaar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai....
subho jiski azan goonji thi
bas wohi umr bhar ki poonji thi
baad-e-akbar kahan sukoon-o-qaraar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai....
zulm tha apni aakhri had par
halq-e-asghar tha teer ki zad par
arsh tharra ke reh gaya ek baar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai....
chaar jaanib hai shamiyon ka hujoom
aisi raunaq hai jaise eid ki dhoom
jashn-e-ruswai hai sare baazar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai....
shimr ke khauf se jo ro na saki
wo sakina kabhi jo so na saki
aa ke zindan may soyi aakhir kaar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai....
ek bemaar ki hai ye tauqeer
tauq gardan may paon may zanjeer
wo lutay khaafile ka hai saalar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai....
kaash koi uski tanabain kas jaye
kaash ye sar zameen dhas jaye
be-rida hai haram sare darbar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai....
un ke seeno may ho yaqeen ki zia
shahid-e-nowhagar ki hai ye dua
aaye rauzon pa aap ke ghamkhaar
ya ali ya hussain ya abbas
har nafs hai....