Kanz e Aza

Haye Haye ye safar Zainab ka

A noha for Shehzadi Zainab (s.a) (2014). Lyrics in Roman Urdu.

Haye Haye ye safar Zainab ka

Haey haey yeh safar zainbab(s.a.) Ka

haey haey yeh safar zainbab(s.a.) Ka


Na mehmil hai na chadar aur sham ka yeh bazaray haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaaray

Naa paak nigaho'n say gar mujh ko bachana hai

qur'aan meray bhai(a.s.) Naizay peh sunana hai

kis tarha chhupaaey khud ko

is waqt behan laachaaray


Haey kis ko sada day

zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaaray


Jo wa'ada kiya tujh say poora usay karna hai

in shaam ki galiyo'n say bay pardah guzarna hai

chadar ka muhafiz jo tha

is baat peh maatam daar ay


Haey kis ko sada day

zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay


Kis darjah museebat hai kis darjah pareshani

barsaey koi pathhar, koi phainkay garm paani

koi sadqah hum par phainkay, koi jaltay huway angaaray


Haey kis ko sada day

zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay


Yeh aalam-e-majboori bas roti rahi zainab(s.a)

ghazi(a.s.) Ki behan hokar kuch kar na saki zainab(s.a)

zalim nay teri bachhi ko kai baar tama'nchay maaray


Haey kis ko sada day

zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay


Yeh shami(l.a.) Humein paidal kaa'nto'n peh chalatay hain

ghash khaa kay jo girjae'n

durro'n say jagatay hain

chhalay bhi yehi kehtay hain aur zakhm jigar kay saaray


Haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera


beemaar ay

Eik dard kalejay mein har waqt hi rehta hai

ta'anay koi deta hai baaghi koi kehta hai

bas itni duaa day bhai is waqt na himmat haaray


Haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay


Hum mehw-e-tamasha hain qaidi hain barehnah sar

eik baar nahi'n sar say no (9) baar chhini chaadar

eik shakhs urhhaaey

chaadar aur doosra aakay utaaray


Haey kis ko sada day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera


beemaar ay

Sajjad(a.s.) Ki laachari dekhi nahi'n jaati hai

jo us ko aziyyat hai zanjeer batati hai

sajjad(a.s.) Ki in aankho'n say behtay hain lahoo kay dhhaaray


Haey kis ko sada

day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay


"farhan" ki "mazhar" ki aankho'n mein woh manzar hai

doraan-e-safar noha bibi(s.a.) Kay labo'n par hai

aey bhai teri furqat nai

jeetay ji mujhay jo maaray


Haey kis ko sada

day zainab(s.a.) Sajjad(a.s.) Mera beemaar ay