HAYE ZAINAB SANIYE BINTE PAYAMBER MARGAYI
Dil ko thame baithe hain Zainul-e-ba rote huwe
Aur labon par hai ye nauha kis tarha Abid jiye
Chal basein humko phuphi ammah akele chord ke
Rone wali bhaye ko ab janibe kausar gayi
Sham ke darbar mein kitna ghutan tha marhala
Zaujaye hakim pase parda thi Zainab berida Aur taaruf horaha tha Fatema ki jaye ka
Aur dua wo kar rahi thi kyun na haye margayi
Baade qatle Shahe Deen har gaam par zillat sahi
Be kajawa ooton par be maqna-o-chadar phiri
Fatema ki beti ki touqeer ye kya hogaye
Farq se chadar chini qaidi bani dar dar gayi
Yaad kar ke ro rahi thi bhaye ko Binte Ali
Wa Hussaina ki sada junhi faza mein goonj uthi
Kar rahi thi aah-o-zari jo shajr se dil jali
Belcha zalim ne maara khoon mein tar hogaye
Taziyane shumr ke har gaam par khati rahi
Har qadam par ghazi ko awaz bhi deti rahi Aur aseeri dekh kar bimaar ki roti rahi
Kya bataun dil pe lekar kaise wo manzar gaye
Moosvi jaa’n dedi jis ne dee’n bachane keliye
Kardiye qurban bache dee’n bachane keliye
Seh gayi gham kaise kaise dee’n bachane keliye
Haye aakhir dukhtare Zehra-o-Hyder margayi