HUSSAIN BHAYE KE CHEHLUM KO AAYE HAI ZAINAB
Wo karbala ke masayeb wo sham ki baidaad
Hazaron dard-o-alam hain aur ek dil-e-nashad
Sadayein deti hai Yawar ye zulm ki rudaad
Jahan-e-sabr mein teri khudaye hai Zainab
Jehad-e-zibt mein sabr-o-raza ke maidaa’n mein
Dayaar-e-sham mein ranj-o-bala ke zindaa’n mein
Sitam ki aandhi mein jor-o-jafa ke toofaa’n mein
Chirag-e-maqsad-e-Sarwar jalaye hai Zainab
Rehaye pake chale karbal aseer-e-jafa
Jo pohunchi qabr Shahe dee’n pe Zainab-e-dukhya
Lipaat ke qabr se deti thi ye sada bhaiya
Utho ke qaid-e-masaayeb se aye hai Zainab
Tumhare baad qayamat guzar gaye hum par
Jalake qaime layeenon ne cheen li chadar
Bana ke qaidi phiraya gaya hamhein dar dar
Qadam qadam pe musebaat uthaye hai Zainab
Bataon kaise thi majboor kis qadar ye bahen
Na dafn kar saki tumko na de saki mai kafan
Falak sutaye amen-e-alam aseer-e-mahen
Tumhare baad ye alqaab paye hai Zainab
Zaqam hai sar pe mere be ridaye ka nauha
Rasan ke dagh sunate hai haal shanon ka
Nishan durron ke kehte hain daastane jafa
Sunani ranj-o-musebaat ki laye hai Zainab