labbaika ya hussain
haya ala khairul amal
jis ne jaana hai chale karbobala bismillah
baaghe firdaus ka rasta hai khula bismillah
karbala jaane ka armaan sada deta hai
muntazir tera alamdar e wafa rehta hai
marhaba hyder e karrar tujhe kehta hai
hai tere saath teri maa ki dua bismillah
jis ne jaana hai chale...
goshe goshe se sada aati hai matam ki sada
nauha padte huwe jahan chalte hai ahle aza
rizk milta hai azadaron ko jannat ka pata
ay azadaar teri shaan juda bismillah
jis ne jaana hai chale...
shauk e jannat ka talabgaar chale saath mere
ibne hyder ka madadgaar chale saath mere
aa chale sheh ka azadaar chale saath mere
hai ye pur noor sitaron ki sada bismillah
jis ne jaana hai chale...
rukh e baatil pe tamacha hai suno seena zani
ye safar ishq e khuda ishq e nabi ishq e ali
matami tujhko dua deti rahe binte nabi
saath chalti hai tere teri baqa bismillah
jis ne jaana hai chale...
daur e haazir ke yazeedon ko mitane ke liye
chehra baatil ka zamane ko dikhane ke liye
hurmat e deen e mohamed ko bachane ke liye
ek sayyed sar e maidan chala bismillah
jis ne jaana hai chale...
pursa dena hai tujhe binte nabi ko ro kar
jis ne maqtal mein ujdate huwe dkeha hai ghar
khoon rote huwe zehra thi jahan nauhagar
aane waalon se ye kehti hai jagah bismillah
jis ne jaana hai chale...
labbaika ya hussain
labbaika ya hussain
har qadam yaad rahe ibne ali ka lehja
teri marzi pe hi raazi hoo mai ay mere khuda
zeen se khaak pe girte huwe maula ne kaha
deen e mursal pe meri jaan fida bismillah
jis ne jaana hai chale...
zindagi jeena azadaron ki khidmat karna
shadman tera ye mansab hai ataa e zehra
sheh ke ghamkhwar hai yawar ye sabhi ahle aza
mai bhi khidmat ko hoo tayyar khada bismillah
jis ne jaana hai chale...