kaha ye zainab ne qabre sheh par bataao kya kya sunaau bhayya
mai saath laai hu chandd tohfe jo tum kaho to dikhaau bhayya
tumhaare seene pe sone wali, lahad me aaraam kar rahi hai
jo mera abbas usko puche , kahan se bachi ko lau bhayya
dayaare koofa me hum jo pohnche, to dour baba ka yaad aaya
behen ne kya inqelaab dekhna, ye tumko kaise sunaau bhayya
jo mera waali mujhe bulaae, to mujh pe aayegi ek qayamat
mai baazuo par nashaa'n rasan ke, mai saamne kaise jaau bhayya
lahad pe amma ki jaaungi mai, tumhaara kurta supurd karne
jo tum kaho to salaam karke, mai baazuo ko dikhaau bhayya